Friday, 30 April 2010

Kaisi Hai Ye Udaasi - Karthik Calling Karthik - Kailash Kher & Sukanya Purayastha

Kaisi hai ye udaasi chhayi, mere dil
Kaisi gehri hai ye tanhai, mere dil
Raahon mein yaadon ki khamoshi barse
Ankhon mein jo gam hain, aasu ko tarse
Ye bataa ye kyun hua
Bujh gaya, kyun har dia
Kaisi hai ye udaasi chhayi, mere dil


Hoo jo bhi mila, woh kho gaya
Tujhko pataa hai aisa hi sadaa hota hai
Jaana hi tha woh jo gaya, dil tu akela aise kyun bhala rota hai
Bhoole jo hain tujhko ab unko bhool ja tu bhi
Warna mere saath yaadon ke zakhm kha tu bhi
Maan ja, ae dil mere
Bhool ja, shikve giley
Kaisi hai ye udhaasi chhayi


Hoo tu hi bataa ae dil mere
Maine to hamesha tera hi kaha mana hai
Kyun hai mujhe ye gam ghire
Mujhe umar bhar kya bas yehi sazaa pana hai
Sapne boye maine aur dard maine hai kaate
Gaaye geet maine aur paaye maine sannate
Aarzoo nakaam hai
Sooni si har shaam hai
Kaisi hai ye udhaasi chhayi, mere dil
Kaisi gehri hai ye tanhai

No comments:

Post a Comment